Dharti par jab kisi baalak ne janam liya
Ro Ro chillaya pucha KOHAM KOHAM (Who Am I ?)
Tab Bramhand ne kaano me us nanhe baalak ke
Gungunaya kaha SOHAM SOHAM (You Are The Same As I Am)
Balak jo wo nirmal tha ,
Ganga maiyya jaisa amishrit tha,
Mann me jiske Ishwar tha,
Aur tan hi jiska mandir tha,
Ab uss chanchal mann me,
Moh Maaya ka janjaal tha.
Mohit shann me smarn kiya naa ,
Dhukh me guhaar lagaye ,
Jisne jeevan daan diya wo,
Teri upeksha kaise kar paaye .
Rahasya poorn saadhan se Teri saari baadhayien mitaayi,
Tu kyon maan chala, ke bas kismat saath nibhayi ,
kisi bhujang ne jaane kaisi tujhko Patti padhayi
Apne janam daata se jaane kitni baatien chhipaayi.
Par wo to sabka Vidhaata hai,
laakh chupaaye koi uss se kuch bhi na chup pata hai.
Ikbaal karna zaroori nahi,
Aatmasamarpan kaafi hai,
Tu apne kadam bhadha to sahi
Tere aane ko wo utsaahit hai.
Priya usse Tu tha, Aur hai,
kyon tujhe samajh naa aaye hai,
Tujhe paane ko jaane kitne,
Ashroo usne bhi bahaye hain.
No comments:
Post a Comment